Palestine Se Mohabbat Zaroori Kyun? (Part 3)


Join Whatsapp Channel
  • Hazrat Suleman Alaihis Salam Ke Daur Ka Daar-ul-hukumat Yahi Tha, Yahi Se Aap Ne Poore Duniya Par Hukumat Ki.
  • Filistin, Ambiya-e-karam Alaihimus Salam Ki Jaaye Sukoonat Raha Hai.
  • Hazrat Dawood Alaihis Salam Ki Ibadat Gaah Yahi Thi.
  • Hazrat Zakariya Alaihis Salam Ki Ibadat Gaah Yahi Hai.
  • Quran-e-kareem Mein Talut Aur Jalut Ka Waqia Mauzood Hai Jo Ke Filistin Mein Pesh Aaya.
  • Hazrat Isa Alaihis Salam Ki Paidaish Ke Mauqe Par Hazrat Maryam Alaihis Salam Ne Jis Khajoor Ke Darakht Ki Ek Tehni Ko Hilaya Tha, Woh Isi Jagah Thi.
  • Qiyamat Se Qabl Hazrat Isa Alaihis Salam 'shaam' Mein Aasman Se Ek Safaid Minare Par Utrenge Aur Filistin Mein 'babe Lud' Ke Qareeb Dajjal Ko Qatl Karenge.
  • Hazoor Akram  Ko Mi'raj Ki Raat Mein Aasmanon Se Pehle Bait-ul-muqaddas Le Jaya Gaya, Bait-ul-muqaddas Aap Ki Pehli Manzil Bana, Makkah Mukarramah Se Rawana Hone Ke Baad Aap Yahan Thahre.
  • Yahi Anbiya-e-karam Alaihimus Salam Ko Namaz Parhai, Kyunke Bait-ul-muqaddas Anbiya-e-karam Alaihis Salam Ki Jaaye Qiyam Hai.
  • Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu Jab Khalifa Bane To Unho Ne Jazeera Arab Mein Murtad Hone Wale Logon Ke Muqablah Ke Liye Lashkar Bheje Taake Unhein Sahih Islam Ki Taraf Lotayen. Is Moqa Par Jazeera Arab Mein Amn O Sukoon Lanay Ke Liye Unhein Har Insani Taqat Ki Zarurat Thi, Lekin In Mushkil Haalaat Mein Bhi Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu Ne Is Lashkar Ko Nahi Roka Jisko Hazoore Akram Ne Shaam Jane Ka Hukm Diya Tha.
  • Hazrat Abu Zar Razi Allahu Anhu Ne Rasoolullah  Se Poocha: Sab Se Pehle Kis Masjid Ki Bunyad Rakhi Gayi Thi? Aap  Ne Farmaya: Masjid Haram (makkah Mukarramah), Phir Poocha: Is Ke Baad Kaunsi Masjid Bani? Aap  Ne Farmaya: Aqsa, Phir Poocha: Dono Ki Tameer Ke Darmiyan Kitna Arsa Guzra? Aap Ne Farmaya: Chalees (Saal) (muttafiq Aleih).
  • Filasteen Aur Shaam Mein Lag Bhag Paanch Hazaar Sahaba-e-karam Razi Allahu Anhum Shaheed Hue Hain, Jo Bait-ul-muqaddas Ko Fatah Kar Ke Use Roomiyyon Ke Zulm Se Azad Karna Chahte The, Yeh Shuhada Wa Anbiya-e-karam Alaihimus Salam Ki Sarzamin Hai.
  • Hazrat Umar Farooq Razi Allahu Anhu Apni Khilafat Ke Zamane Mein Filasteen Ke Alawa Kisi Mulk Ya Sheher Ki Fatah Ke Moqa Par Madinah Munawwarah Se Bahar Nahi Nikle, Albatta Filasteen Ki Fatah Ke Moqa Par Woh Khud Tashreef Laye, Aur Sulh Kar Ke Use Fatah Kiya, Yahan Namaz Parhi, Chabiyan Wasool Ki, Is Waqt Roomiyyon Ke Zulm Se Aisiyon Ko Nijat Dilayi.

Post a Comment

Previous Post Next Post