Farz Or Wajib Sunnat Wagaira Kya Hai

 



Sawal :- Farz Or Wajib Kise Kahte Hain..?

Jawab :- Farz Wo Kaam Hai Ki Us Ko Jaan Boojh Kar Chhodna Sakht Gunah Hai Or Jis Ibadat Ke Andar Wo ( Farz ) Ho Bina Us Ke wo Ibadat Durust Na Ho---Or Wajib Woh Kaam Hai Ki Is Ko Jaan Boojh Kar Chhorna Gunah Or Namaz Me Jaan Boojh Kar Chhorne Se Namaz Ka Dubara Padhna Zaruri Or Bhool Kar Choot Jaye To Sajdaye Sahu Lazim.

Sawal :- Sunnate Muakkida Or Gair Muakkida Kise Kahte Hain..? 

Jawab :-  Sunnate Muakkida Woh Kaam Hai Jis Ka chhorna Bura Or Karna Sawab Hai Or Ittifaqan Chhorne Par Itaab Or Chhorne Ki Aadat Bana Lene Par Azab Ka Musathiq---Or Sunnate Gair Muakkida Woh Kaam Hai Ki Us Ka Karna Sawab Hai Or Na Karne Ki Agarche Aadatan Ho ( Yani Ada Na Karne Ki Agar Aadat Bhi Bana Le) To Itaab (yaani Pakad) Nahi Magar Sharan Na Pasand Hai

Sawal :- Mustahab Or Mubah Kise Kahte Hain...?

Jawab :- Mustahab Woh Kaam Hai Ki Jis Ka Karna Sawab Or Na Karne Par Kuch Gunah Nahi---Or Mubah Woh Kaam Hai Ki Jis Ka Karna Or Na Karna Barabar Ho

Sawal :- Haram Or Makroohe Tahrimi Kise Kahte Hain...?

Jawab:- Haram Woh Kaam Hai Ki Jis Ka Ek Baar Bhi Jaan Boojh Karna Sakht Gunah Or Us Se Bachna Farz Or Sawab hai---Or Makroohe Tahrimi Woh kaam Hai Ke Jis Ke Karne Se Ibadat Naqis (adhuri) rah Jati Hai Or Karne Wala Gunahgaar Hota Hai.

Sawal :- Makroohe Tanzihi Or Khilafe Aula Kise Kahte Hain..?

Jawab :- Makroohe Tanzihi Woh Kaam Hai Jis Ka karna Shariyat Ko Pasand Na Ho Or Us Se Bachna Behtar Or Sawab Ho---Or  Khilafe Aula Woh Kaam Hai Ki Jis Ka Na Karna Behtar Or Karne Me Koi Muzaika Or Itaab Nahi.

Post a Comment

Previous Post Next Post