Juma Ke Fazail 1


Jumua Ke Imame Ki Fazilat : Sarkare Do Aalam ﷺ Ka Irshaade Giraami Hai: Beshak Allah Paak Aur Us Ke Farishte Jumua Ke Din Imama Baandhne Waalon Par Durood Bhejte Hain. हिंदी में पढ़ें


Allah Paak Aur Farishton Ke Durood Bhejne Ke Ma'na : Ae Aashiqane Namaaz! Byaan Karda Hadeese Paak Mein Allah Paak Aur Us Ke Farishton Ka Jumua Ke Din Imama Shareef Baandhne Waalon Par Durood Bhejne Ka Zikr Hai. Yaad Rahe Is Se Ma'roof Durood Muraad Nahin Balki Allah Paak Ka Apne Bandon Par Durood Bhejne Ka Matlab Hai Rahmat Nazil Farmana Aur Farishton Ke Durood Bhejne Ka Matlab Hai Istighfar Karna.


Ek Jumua 70 Jumuo Ke Barabar : Hazrate Ibne Umar Se Riwayat Hai Ki Rasoolullah Ne Irshad Farmaya, 'imama Ke Saath Ek Jumua Bina Imama Ke Sattar Jumuo Ke Barabar Hai.


Shifa Daakhil Hoti Hai : Hazrate Abdullah Ibne Masood رضی اللہ عنہ Farmate Hain: Jo Shakhs Jumua Ke Din Apne Nakhun Kaat ta Hai, Allah Paak Us Se Bimaari Nikaal Kar Shifa Daakhil Kar Deta Hai.


Das Din Tak Balaon Se Hifazat : Hazrate Maulana Amjad Ali Aazmi Farmate Hain: Hadees Pak Mein Hai: Jo Jumua Ke Roz Naakhun Tarashvaye (yaani Katvaye) Allah Paak Usko Doosre Jumua Tak Balaon Se Mahfooz Rakhega Aur Teen Din Zaid Yaani Das Din Tak. Ek Riwayat Mein Yeh Bhi Hai Ki Jo Jumua Ke Din Naakhun Tarashvaye (yaani Katvaye) To Rahmat Aayegi, Gunaah Jaayenge.


Rizk Mein Tangi Ka Ek Sabab : Hazrate Allama Mufti Muhammad Amjad Azami Farmate Hain: Jumua Ke Din Nakhun Tarashwana Mustahab Hai, Haan Agar Ziyaada Badh Gaye Hain To Jumua Ka Intezar Na Kare Ki Nakhun Bada Hona Achha Nahin Kyun Ki Nakhuno Ka Bada Hona Tangiye Rizk Ka Sabab Hai. (bahaare Shariat, 3/225, Hissa: 16)


Firishte Khush Nasibo Ke Naam Likhte Hain. : Mustafa Jaane Rahmat Ka Irshaad-e-giraami Hai: 'jab Jumua Ka Din Aata Hai To Masjid Ke Darwaze Par Farishte Aane Wale Ko Likhte Hain, Jo Pehle Aaye Usko Pehle Likhte Hain, Jaldi Aane Wala Us Shakhs Ki Tarah Hai Jo Allah Ta'ala Ki Raah Mein Ek Oont Sadqa (yaani Khairaat) Karta Hai, Aur Is Ke Baad Aane Wala Us Shakhs Ki Tarah Hai Jo Ek Gaay Sadqa Karta Hai, Is Ke Baad Wala Us Shakhs Ki Misl Hai Jo Mendha Sadqa Kare, Phir Us Ki Misl Hai Jo Murgi Sadqa Kare, Phir Us Ki Misl Hai Jo Anda Sadqa Kare Aur Jab Imam (khutbe Ke Liye) Baith Jaata Hai To Woh (yaani Farishte) A'amal Namaon Ko Lapet Lete Hain Aur Aa Kar Khutba Sunte Hain.' (929:319/1-6)


Sharhe Hadees : Hazrate Mufti Ahmad Yaar Khan Farmate Hain: Baaz Ulama Ne Farmaya Ki Mala'ika Jumua Ki Tuloo-e-fajr Se Khade Hote Hain, Baaz Ke Nazdeek Aftaab Chamakne (yaani Sooraj Nikalne) Se, Magar Haq Yeh Hai Ki Sooraj Dhalne (yaani Ibtida-e-waqt-e-zuhr) Se Shuru Hota Hain Kyun Ki Usi Waqt Se Waqt-e-jumua Shuru Hota Hai, Maaloom Hua Ki Woh Farishte Sab Aane Walo Ke Naam Jaante Hain, Khyaal Rahe Ki Agar Awwalan Sau (100) Aadmi Ek Saath Masjid Mein Aaye To Woh Sab Awwal (yaani Pehle Aane Wale) Hain.


Pahli Sadi Mein Jumua Ka Jazba : Hazrat-e Imam Muhammad Bin Muhammad Bin Muhammad Ghazali Farmate Hain: Pahli Sadi Mein Sahri Ke Waqt Aur Fajr Ke Baad Raaste Logon Se Bhare Hue Dekhe Jaate The, Woh Charagh Liye Hue (namaaze Jumua Ke Liye) Jama Masjid Ki Taraf Jaate Goya Eid Ka Din Ho, Yahan Tak Ki Namaaze Jumua Ke Liye Jaldi Jaane Ka Silsila Khatm Ho Gaya. Pas Kaha Gaya Ki Islam Mein Jo Pahli Bid'at Zahir Hui Woh Jama Masjid Ki Taraf Jaldi Jaana Chhodna Hai. Afsos Musalmanon Ko Kisi Tarah Yahudiyon Se Haya Nahi Aati Ki Woh Log Apni Ibadat Gahon Ki Taraf Hafte Aur Itwaar Ke Din Subah Savere Jaate Hain. Neez Dunya Ki Kamai Chaahne Wale Khareedo Farokht Aur Dunyavi Nafa Haasil Karne Ke Liye Savere Savere Bazaaron Ki Taraf Chal Padte Hain To Aakhirat Talab Karne Wale In Se Mukabala Kyun Nahi Karte! Sahabi Ibn-e Sahabi Hazrat-e Abdullah Bin Abbas رضی اللہ عنہ Se Riwayat Hai Ki Sarkare Do Aalam Ne Irshaad Farmaya: Jumua Ki Namaaz Masakeen Ka Hajj Hai." Aur Doosri Riwayat Mein Hai Ki Yaani "jumua Ki Namaaz Gareebon Ka Hajj Hai.


Jumua Ke Liye Jaldi Nikalna Haj Hai : Allah Paak Ke Aakhiri Rasool Ne Irshaad Farmaya: "bila Shubah Tumhaare Liye Har Jumua Ke Din Mein Ek Hajj Aur Ek Umrah Maujood Hai, Lihaza Jumua Ki Namaaz Ke Liye Jaldi Nikalna Hajj Hai Aur Jumua Ki Namaaz Ke Baad Asr Ki Namaaz Ke Liye Intezar Karna Umrah Hai.


Haj Aur Umrah Ka Sawab : Hazrat-e Imam Muhammad Bin Muhammad Bin Muhammad Ghazali Farmate Hain: (namaaze Jumua Ke Baad) Asr Ki Namaaz Padhne Tak Masjid Hi Mein Rahe Aur Agar Namaaze Maghrib Tak Thehre To Afzal Hai. Kaha Jaata Hai Ki Jisne Jama Masjid Mein (jumua Ada Karne Ke Baad Wahi Ruk Kar) Namaaze Asr Padhi Uske Liye Hajj Ka Sawab Hai Aur Jisne (wahi Ruk Kar) Maghrib Ki Namaaz Padhi Uske Liye Hajj Aur Umrah Ka Sawab Hai. (249/11) Jahaan Jumua Padha Jaata Hai Usko "jama Masjid" Bolte Hain.


Sab Dino Ka Sardar : Hum Gunahgaaron Ki Shafa'at Farmane Wale Makki Madani Mustafa Ka Farmaane Aali Shaan Hai: "jumua Ka Din Tamaam Dino Ka Sardar Hai Aur Allah Paak Ke Nazdeek Sab Se Bada Hai Aur Woh Allah Paak Ke Nazdeek Eid-ul-adha Aur Eid-ul-fitr Se Bada Hai. Ismein Paanch Khususiyaten Hain (1) Allah Paak Ne Ismein Aadmi Ko Paida Kiya Aur (2) Ismein Zameen Par Unhein Utara Aur (3) Ismein Unhein Wafaat Di Aur (4) Ismein Ek Sa'at (yaani Ghadi) Aisi Hai Ki Banda Us Waqt Jis Cheez Ka Suwaal Karega Woh Use Dega Jab Tak Haram Ka Suwaal Na Kare Aur (5) Is Din Mein Qiyamat Qayam Hogi. Koi Mukarrab Farishta, Aasmaan Aur Zameen Aur Hawa Aur Pahaad Aur Dariya Aisa Nahi Ki Jumua Ke Din Se Darta Na Ho.

Post a Comment

Previous Post Next Post