Eid Miladunnabi Manana Kaisa

Mukhtalif Makatibe Fikr Ke Ulama Ke Nazdeek Eid Miladunnabi  ﷺ Manana Kaisa....?

Ibne Taimiyah : Ibne Taimiyah (1263-1328 A.d.) Apni Kitab “Iqtidaus Siratul Mustaqeem Li Mukhalifati Ashabil Jaheem” (404 Page) Men Likha “ Milad Shareef Ki Tazeem Or Usko Shi’ar Bana Lena Kuch Logo Ka Amal Hai Or Us Me Ajre Azeem Bhi Hai Kyu Ki Us Ki Niyyat Nek Hai Or Rasoole Akram ﷺ   Ki Tazeem Bhi Hai 

इस आर्टिकल को हिन्दी में पढ़ने के लिए यहां क्लिक कीजिए

Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi : Ibne Jauzi (510-579 Hijri) Kahte Hain Ki Huzoor Nabi Akram ﷺ   ki Wiladat Ba Sa”adat Ke Mauqe Par Khushi Mnane Ke Ajar Me Abu Lahab Ke Azab Me Takhfeef Kar Di Jati Hai Jis Ki Mazammat Men Qur’an Hakeem Me Ek Mukammal Surat Nazil Hui Hai. To Ummate Muhammdiyah Ke Us Musalman Ko Milne Wale Ajar Or Sawab Ka Kya Aalam Hoga Jo Aap ﷺ   Ke Milad Khushi Manata Ho Or Aap ﷺ   Ki Muhabbat Or Ishq Me Hasbe Istita’at Kharch Karta Hai..? Khuda Ki Qasam Mere Nazdeek Allah Paak Aise Musalman Ko Apne  Mahboob ﷺ   Ki Khushi Manane Ke Tufail Apne Fazl Ke Saath Apni Nematon Bhari Jannat Ata Farmayega. ( Abdul Haq “ Ma Sabata Minas Sunnah Fi Ayyami Sunah “ Page 60)


Shah Abdul Aziz Muḥaddith Dehlawi (1159-1239 H) : Khandaan-e Wali Allah Ke Aftaab Roshan Shah Abdul Aziz Muḥaddith Dehlawi Apne Fatawa Safha Number 163 Mein Likhte Hain Aur Mahe Rabi' Al-awwal Ki Barkat Hazoor Nabi Akram ﷺ   Ki Milad Sharif Ki Wajah Se Hai Jitna Ummat Ki Taraf Se Aap ﷺ   Ki Bargah Mein Hadiyah, Durood O Salaam Aur Ta'aam Ka Nazrana Pesh Kiya Jaye, Itna Hi Aap ﷺ   Ki Barkaton Ka Un Par Nazool Hota Hai.


Nawab Siddiq Hasan Khan Bhopali (1307 H) : Ghair Muqallideen Ke Namwar Alim-e-deen Nawab Siddiq Hasan Khan Bhopali Milad Sharif Manane Ki Babat Likhte Hain. Is Mein Kya Burai Hai Ke Agar Har Roz Zikre Hazrat ﷺ   Nahin Kar Sakte To Asba'a (hafta) Ya Har Mahine Mein Intizam Iska Karein Ke Kisi Na Kisi Din Baith Kar Zikr Ya Wa'az Seerat, Wiladat, Aur Wafat Aan Hazrat ﷺ   Ka Karein, Phir Ayyam-e-maah Rabi' Al-awwal Ko Bhi Khali Nah Chhodein, Aur Un Riwayat, Akhbar, Aur Asaar Ko Parhein Padhaye Jo Sahih Taur Par Sabit Hai.

    Aage Likha Jis Ko Hazrat ﷺ   Ke Milad Ka Haal Sun Kar Farhat Hasil Nah Ho Aur Shukr Khuda Ki Hasil Par Is Ne'mat Ke Nah Kare Woh Musalman Nahin." Reference: "bhopali Al-shama'ma Al-'ambarya Min-mawlood Khair Al-bariyyah" Page 12.


Haji Imdadullah Muhajir Makki (1233 H) : Haji Imdadullah Muhajir Makki Chaaron Silsilon Tareeqat Mein Bai'at Karte Thay Aur Darul Uloom Deoband Ke Baani Qasim Nanotvi (1297-1248 Ah) Aur Darul Uloom Deoband Ke Sarparast Rasheed Ahmad Gangohi (1244-1323 Ah) Aap Ke Murid Or  Khulafaa, Thay Hazrat Peer Meher Ali Shah Golravi (1356-1271 Ah), Maulana Mahmood Ul Hasan Deobandi Aur In Doosre Ulama Aur Mashaaikh Ka Shumaar Haji Imdadullah Muhajir Makki Ke Khulafaa Mein Hota Tha.

    Shamaime Imdadiyah Ke Safha Number 47 Aur 50 Par Darj Hai Ke Haji Imdadullah Muhajir Makki Ne Ek Sawaal Milad-un-nabi ﷺ   Ke Iniqaad Ke Baare Mein Unki Kya Raaye Hai? Ke Jawaab Mein Farmaya, 'maulood Shareef Tamam Ahl-e-haramain Shareefain Karte Hain, Iss Qadar Hamare Wasate Hujjat Kafi Hai Aur Hazrat Risalat Ma'ab ﷺ   Ka Zikr Kaise Mazmoom Ho Sakta Hai? Albatta Jo Ziyaadtiyan Logon Ne Ikhtiyaar Ki Hai Na Chahiye Aur Qayam Ke Baare Mein Kuch Nahin Kehta. Haan Mujhko Ek Kaifiyat Qayam Mein Hasil Hoti Hai." (Reference: Imdadullah Shamaime Imdadiyah Page Number 47-) Kisi Ne Dariyaft Kiya Ki Milad Ke Bare Me Unka Kya Aqeedah Hai Or Kya Maloom Hai? Is Par Unho Ne Jawab Diya “faqeer Ka Mashrab Hai Ki Mahfile Milad Me Maulood Me Shareek Hota Balki Barkaat Ka Zariya Samajh Kar Har Saal Munaqqid Karta Hu Or Qayam Me Lutf Or Lazzat Pata Hu

Note : Jo Log Mahfile Milad Ko Bidate Mazmooma Or Khilafe Shariyyah Kahte Hain Unhen Kam Az Kam Apne Shaikh O Murshid Ka Hi Lihaz Karte Hue Is Rawaiyye Se Gurez Karna Chahiye


Post a Comment

Previous Post Next Post