Masnooi Aur Farzi Karbala Banana:
Karbala Iraq Mein Us Jagah Ka Naam Hai Jahan Hazrat Imam Aali Maqam Apne Saathiyo Ke Saath Yazidi Faujon Ke Zariye Shaheed Kiye Gaye. Ab Jahan Taziyon Ko Jama Aur Phir Dafn Kiya Jata Hai, Un Jagahon Ko Log Karbala Kehne Lagay, Mazhab Islam Mein In Farzi Karbalaaon Ki Koi Haisiyat Nahi, Unhein Muqaddas Maqam Khayal Kar Ke Un Ka Ehtaram Karna
Sub Rafaziyat Aur Jahalat Ki Pedaawar Hain. Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Barelvi Farmatay Hain Alam Taziyah, Mehndi Un Ki Mannat Gasht Chadhawa, Dhol Tashe, Majire, Marsiye Matam Masnooi (Farzi) Karbala Jana, Yeh Sab Baatein Haram O Najayez O Gunah Hain. ( Fatawa Razawiyyah, Jild 24, Safha 496) Kuch Jagahon Par Auratain Raat Ko Chiraagh Le Kar Karbala Jaati Hain Aur Khayal Karti Hain Ke Jis Ka Chiraagh Jalte Hue Pohanch Gaya Us Ki Murad Poori Hogi, Yeh Sab Jahilana Baatein Hain. Aisi Waham-parasti Ki Islam Mein Koi Gunjaish Nahi Hai."इस आर्टिकल को हिन्दी में पढ़ने के लिए यहां क्लिक कीजिए
Imam Baray:
Jahan Taziyay Ko Rakhtay Hain Us Imarat Ko Imam Bara Kehtay Hain, Yeh Imam Baray Banana Aur Unki Ta'zeem Karna Yeh Sab Rafzi Firqa Ki Den Hai, Imam Baray Ki Koi Shar'i Hesiyat Nahi, Unki Zameenain Kisi Baal-bacche Daar, Be-ghar, Ghareeb Musalman Ko De Di Jayen Aur Us Ka Sawab Hazrat Imam Aali Maqam Ki Rooh Pak Ko Isal-e-sawab Kar Diya Jayega To Yeh Ek Islami Kaam Hoga. Ya Wahan Zarurat Ho To Masjid Banayi Jayee Ya Musalmanon Ke Liye Qabristan Ya Musafir Khana Waghera Jis Se Qaum Ko Nafa Pohanchay, To Nihayat Umda Baat Hai. Aa'la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Fazil-e-barelvi Farmatay Hain: Imam Bara Waqf Nahi Ho Sakta, Jo Usne Banaya Woh Isi Ki Malkiyat Hai, Jo Chahay Karay Woh Nah Raha To Us Ke Warison Ki Milk Hai Unhein Ikhtiyar Hai." (Fatawa Razawiyya, Jild 6, Safa: 121)
Bachon Ko Faqeer Banana:
Kahin Kahin Hazrat Imam Hussain Ke Naam Par Bachon Ko Faqeer Banaya Jata Hai Aur Unke Galey Mein Jhooli Daal Kar Ghar Ghar Unse Bheek Mangwate Hain, Yeh Bhi Najaaiz Aur Gunaah Hai. A'la Hazrat Farmate Hain: "yun Hi Faqeer Ban Kar, Bila Zaroorat O Majboori Bheek Maangna Haram Hai. Bohat Si Hadeesain Is Ma'ani Par Naatiq Hain Aur Aison Ko Dena Bhi Haram Hai."[Fatawa Razawiyya, Jild 24, Safa: 494]
Imam Qasim Ki Mehndi:
Hazrat Imam Qasim, Imam Hussain (رضی اللہ تعالٰی عنہ) Ke Bhatije Aur Hazrat Imam Hasan (رضی اللہ تعالٰی عنہ) Ke Farzand Arjmand Hain. Karbala Mein Apne Chacha Buzurgwar Ke Sath Bohat Se Zalimon Ko Maar Kar Fi Al-nar Kiya, Phir Khud Shahid Kiye Gaye. Baat Sirf Itni Hai Ke Hazrat Imam Hussain Ki Ek Sahabzadi Se Unki Nisbat Tay Ho Chuki Thi, Nikah Se Pehle Hi Karbala Ka Waqiya Pesh Aagya. Itni Si Baat Ko Logon Ne Afsana Banaya Aur Kaha Ke Karbala Mein Hi Unki Shadi Hui Aur Woh Dulha Bane, Unki Mehndi Lagi Aur Mehndi Kahin Se 7 Tareekh Aur Kahin 8 Tareekh Aur Kahin 13 Ke Mele Tamashay Aur Dhol Dhamakay Ban Gayi. Baans Ki Khapchiyon Aur Panni Wakagaz Ke Chhotay Chhotay Khilone Banaye Jatay Hain Aur Unka Naam Jahiloon Ne Mehndi Rakh Dia. Aur Musalmanon Mein Se Woh Log Jin Ka Mizaaj Tamashai Tha, Unho Ne Apne Zauq Ki Chashni Khelne Aur Tamashay Wa Mele Karne Ke Liye Hazrat Imam Qasim (رضی اللہ تعالٰی عنہ) Ki Mubarak Shakhsiyat Ko Aar Banaya.
Bhaiyo! Yeh Tamashay Kab Tak Karo Ge, Kuch Marne Ke Baad Ki Aur Akhirat Ki Bhi Fikr Hai. Taqreeron Ke Zariye Lambay Lambay Nazrane Ainthnay Wale Afsana Go Khatibon Ko Bhi Rang Bharnay Ka Khoob Mauqa Mila Aur Nayi Dulhan Ke Samne Dulha Ki Shahadat Ronay Aur Rulane Aur Dahaarain Maarnay Ka Bahana Ban Gayi, Aur Sha'aron Ki Marsiya Nigari Ne Is Jhooti Baat Ko Kahan Se Kahan Tak Pohancha Dia.
Khulasa Yeh Hai Ke Mehndi Ki Rasam Aur Us Se Mutalliq Waqia Sab Manghrnat Aur Fazooliyat Se Hai, Aur Is Ke Naam Par Jo Kuch Kharafatiyan Aur Jahilana Harkatein Hoti Hain, Yeh Sab Na Jaiz, Gunah Aur Haram Hain. Aala Hazrat Imam Ahle Sunnat Molana Ahmed Raza Khan Barelvi Farmatay Hain: Ta'ziyah, Mehndi, Shab-e-ashura Ko Roshni Karna Bid'at Wa Najayiz Hai. Hazrat Syedna Imam Qasim Ke Sath Karbala Mein Hazrat Syedna Imam Hussain Ki Sahabzadi Ki Shadi Ka Waqia Sabit Nahi Hai, Kisi Ne Garha Hai. [fatawa Razawiyya Jild 24 Safha: 500, 501]
Chehallum Ka Bayan:
Safar Ke Mahine Ki 20 Tareekh Ko Hazrat Syedna Imam Hussain (ra) Ke Chehlum Ke Naam Par Bhi Khub Mele, Telay Aur Tamashe Lagaye Jate Hain. Taziyay Bana Kar Bajon, Tashon Ke Sath Ghumaye Jate Hain. Is Silsile Mein Pehli Baat To Yeh Hai Ke Chehlum Ya Chaliswan Is Nayaz, Wafaat, Hayaat, Wa Isaal-e-sawaab Ko Kehte Hain Jo Inteqal Ke Chaliswan Din Ya Kuch Aage Peeche Kiya Jaye. Lekin Jiski Shahadat Ko Saare Chaudah Sau Saal Ho Chuke Hon, Uska Chehlum Ab Hona Samajh Mein Nahi Aata. Aars Wi Barsi To Har Saal Hote Hain, Lekin Chaliswan Ya Chehlum Har Saal Hona Taajjub Ki Baat Hai. Phir Bhi Chun Ke Nayaz-o-faatihah Wagairah Jaiz Kaam Har Din Jaiz Wa Halal Hain, 20 Safar Ko Bhi Kiye Jayein To Gunaah Nahi Balke Sawaab Hai, Lekin Chehlum Ke Naam Par Bhi Jo Khurafaat Aur Tamashay Hote Hain Unse Islam Mazhab Ka Door Ka Bhi Wasta Nahi Hai. Baat Daraasal Yeh Hai Ke Jab Ek Mele Aur Tamasha Se Pet Nahi Bhara To Mauj-o-masti Karne Ke Liye Ek Din Aur Bada Liya, Kyun Ke Khel Tamashay Aisi Cheezein Hain Ke Tamasha Pasand Log Chahate Hain Ke Yeh To Rozana Hon To Aur Bhi Achha Hai, Aur Namaaz, Roza Wagairah Qur'an Ki Tilawat Mein Unhein Ka Dhyaan Lagta Hai Jo Khuda Se Darte Hain Aur Aakhirat Damot Ki Fikr Rakhte Hain.
Khulasa Yeh Hai Ke Is Rayeja Chehlum Ka Matlab Yehi Samjha Ja Sakta Hai Ke Hazrat Imam Hussain Ki Yaadgaar Manane Ka Bahana Bana Kar Khel Tamashon, Dhol Bajon Ke Liye Ek Din Aur Bada Liya Gaya Hai.
Kale Aur Hare Kapray Pehenna Ya Hari Topi Odhna:
Muharram Mein Yeh Hare Kale Kapray Gham Aur Sog Mananay Ke Liye Pahnay Jatay Hain Aur Sog Islam Mein Haram Hai, Is Ke Alawah Sog Ki Aur Batein Bhi Kuch Raij Hain, Jaise Muharram Mein Shuru Ke Das Din Kapray Nah Badalna, Din Mein Roti Nah Pakana, Jharu Nah Lagana, Mah-e-muharram Mein Biyah Shadi Ko Bura Samajhna, Sab Fazool Batein Aur Jahalat O Rafziet Ki Paidawar Khurafatain Hain. Aala Hazrat Farmatay Hain:
Yun Hi Ashurae Muharram Ke Sabz (hare) Rangay Hue Kapray Bhi Najaaiz Hain, Yeh Bhi Sog Ki Gharz Se Hain. Ashura Muharram Mein Teen Rangon Se Bachan. Siyah (kala) Sabz (hara) Surkh (Fatawa Razawiyya Jild 24:496.)
Sawari Nikalna
Baz Jaga Ashrae Muharram Mein Sawariyan Nikali Jati Hain Aur Un Ke Saath Tarah Tarah Ke Tamashay Aur Drame Hotay Hain, Woh Bhi Najaaiz O Gunah Hain. Khudaaye Ta'ala Musalmanon Ko Sahi Ma'ani Mein Islam Ko Rakhnay Aur Us Par Chalnay Ki Taufeeq Ata Farmaye."