Salam Karne Ki Sunnatein



    Salaam Karna Hamare Pyaare Aaka Tajdare Madina  Ki Bahut Pyaari Sunnat Hai. Bad Kismati Se Aaj Kal Ye Sunnat Khatam Hoti Hui Nazar Aa Rahi Hai. Ab Log Aapas Mein Jab Milte Hain To Assalamu Alaikum Se Shuruvat Karne Ke Bajaye 'aadaab Arz' Ya 'kya Haal Hai' Subah Bakhair, Shab Bakhair Wagaira Wagaira Ajeeb Garib Lafzon Se Baat Cheet Ki Shuruaat Karte Hain, Ye Sunnat Ke Khilaaf Hai, Rukhsat Hote Huye Bhi 'khuda Hafiz', 'goodbye', 'tata' Wagaira Kahne Ke Bajaye Salaam Karna Chahiye. Haan Rukhsat Hote Waqt Salaam Ke Baad Agar 'khuda Hafiz' Keh Den To Koi Harz Nahi.    Salaam Ke Behtareen Alfaaz Ye Hain: السلام عليكم و رحمة الله و بركاته“ (assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuh), Yaani Tum Par Salaamati Ho Aur Allah Ki Paak Se Rahmatein Aur Barkatein Nazil Hon.


    Salaam Ke Jawab Ke Behtareen Alfaaz Ye Hain: "وعليكم السلام ورحمة الله و بركاته" (wa Alaikum As-salam Wa Rahmatullahi Wa Barakatuh), Yaani Aur Tum Par Bhi Salaamati Ho Aur Allah Paak Ki Taraf Se Rahmatein Aur Barkatein Nazil Hon.
    Salaam Karne Se Aapas Mein Muhabbat Paida Hoti Hai. Hazrat Abu Huraira (may Allah Be Pleased With Him) Se Marwi Hai Ke, Huzoor  Ne Irshaad Kiya Us Jaat Ki Kasam Jiske Kabze Mein Meri Jaan Hai, Tum Jannat Mein Daakhil Nahi Hoge Jab Tak Tum Imaan Na Lao Aur Tum Momin Nahi Ho Sakte Jab Tak Ke Tum Ek Doosre Se Muhabbat Na Karo, Kya Main Tumko Ek Aisi Cheez Na Bataaun Jis Par Tum Amal Karo To Ek Doosre Se Muhabbat Karne Lago (chunaanche Irshaad Farmaya) Apne Darmiyan Salaam Ko Aam Karo.

Post a Comment

Previous Post Next Post