Hazrat Sayyiduna Umar Farooq E Azam

Sahraaye Arab Ki Chilchilaati Aur Sakht Dhoop Mein Ek Shakhs Apne Sar Par Chadar Daale Madina Munawwara Zaad Haa'allahu Sharafan Wa Ta'azeema Ki Jaanib Barh Raha Tha, Raaste Mein Gadhe Par Sawar Ek Ghulaam Ko Dekha To Usse Kaha: Garmi Bahut Hai Mujhe Apne Peeche Sawar Karlo, Ghulaam Ne Us Shakhs Ko Pehchaan Liya, Fauran Utar Kar Arz Kiya: Aap Is Par Sawar Ho Jaiye, Magar Us Shakhs Ne Kaha: Tum Sawar Ho Jao Aur Main Tumhare Peeche Baithoonga, Ghulaam Ne Phir Arz Kiya: Aap Sawar Ho Jaiye Aur Main Paidal Chalta Hoon, Magar Woh Shakhs Na Maana. Bil Aakhir Ghulaam Ne Us Shakhs Ko Apne Peeche Sawar Kar Liya. Dono Sawar Jab Madina Munawwara Ki Hudood Mein Dakhil Hue To Log Us Shakhs Ko Hairat Se Tak Rahe Thay. (Tareekh-e-ibne Asakir, Jild 44, Safha 318 Mukhtasaran) Musalmano! Ghulaam Ke Peeche Sawar Hone Wala Koi Aam Aadmi Nah Tha Balkay Woh Azeem Hasti Thi Jisne Kufr O Gumraahi Ke Shahron Mein Hidayat Ki Shamaen Roshan Ki, Qaisar O Kisra Ke Ghuroor Ko Khak Mein Milaya, Jis Ke Doar-e-hukoomat Mein Ek Hazaar Se Zyada Shahr Fateh Hue, Chaar Hazaar Se Zyada Masajid Tameer Ki Gayin. Yeh Muhtaram Hasti Imam-ul-adileen, Ghaiz-ul-munafiqeen, Ameer-ul-momineen Hazrat Syedna Umar Farooq-e-azam Radi Allahu Anhu Ki Zat-e-muqaddasah Hai.


Kunniyat, Laqab, Hulia Mubarak:
Aap Radi Allahu Anhu Ki Kunyat "Abu Hafs" Aur Laqab "Farooq-e-azam" Hai. Aap Daraaz Qad, Bhaari Jism Aur Safaid Rangat Wale Jabke Daadhi Mubarak Ghani Aur Ghunghrali Thi. (Faza'il-e-farooq-e-azam, Jild 1, Safha 59 Ta 60) Aap Radi Allahu Anhu Aam-ul-feel Ke 13 Saal Baad Paida Hue, Yoon Aap Radi Allahu Anhu Ki Taareekh-e-wilaadat 583 'isawi Hai.

Islam Se Pehle Aur Islam Ke Baad:
Aap Ashraaf-e-quraish Mein Apni Zaati O Khandaani Wujahat Ke Lehaaz Se Bohat Hi Mamtaaz Thay. Aap Ne Zamanah-e-jahiliyat Mein Kuffar-e-makkah Ke Liye Kayi Jangon Mein Sifarat Ke Faraiz Bhi Sar Anjam Diye Thay. (Tareekh Al-khulafa, Safha 99 Mukhtasaran) Ek Riwayat Ke Mutabiq Aap Radi Allahu Anhu 39 Mardon Ke Baad, Rahmat-e-aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Dua Se Elaan-e-nabuwwat Ke Chhatwe Saal Imaan Laaye. Aap Radi Allahu Anhu Ke Imaan Lene Par Musalmanon Mein Khushi Ki Lahar Daur Gayi Yahan Tak Ke Kuffar O Mushrikeen Yeh Kehne Par Majboor Hogaye Ke Aaj Hamari Taqat Ghat Kar Adhi Reh Gayi Hai. (Durr-e-manthur, Jild 4, Safha 487, Baab Al-anfal: Tahat Al-aayah: 67)


Mujahidana Zindagi:
Aap Radi Allahu Anhu Tamaam Ghazwaat Mein Mujahidana Shaan Ke Saath Kuffar Se Ladte Rahe. Kayi Marikoon Mein Sipah Salar Ke Faraiz Bhi Sar Anjam Diye Jabke Wazir O Mushir Ki Hesiyat Se Tamaam Islami Mamlaat Aur Sulah O Jang Waghaira Ki Tamaam Mansoobah Bandiyon Mein Hazoor-e-nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Hazrat Abu Bakr Siddique Radi Allahu Anhu Ke Wafaadaar Rafeeq-e-kaar Rahe. (Tareekh Ibne Asakir, Jild 44, Safha 54- Jild 2, Safha 67, Riyadh Al-nadhrah, Jild 1, Safha 335 Mukhtasaran)


Roshan Seerat:
Aap Radi Allahu Anhu Zuhd O Taqwa, Adl O Insaaf Aur Khuda Khufi Ke Jis Maqam Par Faaiz Thay Woh Aap Hi Ka Hissa Hai Safar Ho Ya Hajar, Ghar Mein Hon Ya Bahir Aap Ne Apni Zindagi Nihayat Sadgi Se Guzari. Jahan Aaram Karna Hota To Zameen Par Chadar Bichate Aur Us Par Leit Jaate, Kabhi Darakht Par Chadar Daal Kar Us Ke Saaye Mein Aaram Kar Lete. (Faza'il-e-farooq-e-azam, Jild 1, Safha 64 Mukhtasaran) Ek Martaba Khutba Diya To Us Waqt Badan Par Mojood Chadar Mein 12 Pewnd Lage Hue Thay. (Al-zuhd Li Ahmad, Safha 152)


Takabbur Ko Door Kar Diya:
Ek Azeem Sultanat Ke Azeem Ameer Hone Ke Bawajood Aajzi Ka Yeh Aalam Tha Ke Ek Baar Kandhe Par Paani Se Bhara Hua Mashkeezah Uthaya Hua Tha, Kisi Ne Arz Kiya: Aye Musalmanon Ke Ameer! Yeh Kaam Aap Ke Liye Munasib Nahi Hai. Farmaya: Mere Paas Logon Ke Wafaad Dar Wafaad Aate Hain Jis Ki Wajah Se Mujhe Apne Dil Mein Fakhr O Barayi Ki Lehar Mehsoos Hui Lehaza Mashkeezah Utha Kar Is Lehar Ko Paash Paash Kar Dena Chahta Hoon. Phir Ansari Sahabiya Radi Allahu Anha Ke Ghar Ke Qareeb Tashreef Laaye Aur Un Ke Bartanon Ko Paani Se Bhar Diya. (Risalah Qushayriyah, Safha 185)


Khawf-e-khuda Aur Ibadat:
Aap Radi Allahu Anhu Madina Munawwara Ke Bachon Se Apne Liye Dua Krate Ke Dua Karo 'umar Bakshaa Jaaye. (Faza'il-e-dua, Safha 112) Aap Ki Zubaan-e-aqdas Par Aksar "Allahu Akbar" Jaari Rehta Tha. (Riyadh Al-nadhrah, Jild 1, Safha) Aakhri Umr Mein Musalsal Rozay Rakhna Shuru Kar Diye Thay. (Riyadh Al-nadhrah, Jild 1, Safha 363)


Zamanah-e-khilafat:
San 13 Hijri Mein Masnad-e-khilafat Par Jalwah Farma Huye Aur 10 Saal 6 Maah Tak Faa'iz Rahe.


Betay Par Giraft:
Yeh Rasool-e-kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Sohbat Aur Tarbiyat Ka Gehra Asar Tha Ke Islami Ahkamat Nafiz Karne Aur Un Par Amal Karwane Mein Kisi Qisam Ki Riayat Nahi Karte Thay Chunanche Ek Martaba Bazaar Mein Ek Bohat Mota Onth Farokht Hotay Dekha To Poocha: Yeh Onth Kis Ka Hai? Logon Ne Bataya: Aap Ke Betay Ka Hai, Foran Betay Ko Bulaya Aur Onth Ke Mota Taza Hone Ka Sabab Daryaft Kiya, Unhone Arz Kiya: Yeh Onth Sarkari Charagah Mein Charta Hai Is Liye Itna Farba (Mota Taza )Hua Hai. Aap Ne Hukm Ershad Farmaya: Is Onth Ko Bech Kar Onth Ki Aam Raqam Apne Paas Rakho Aur Baqi Raqam Sarkari Khazane Mein Jama Karwado. (Tareekh-e-ibne Asakir, Jild 44, Safha 326 Mukhtasaran)


Maal O Asbab Ki Fahrist:
Kisi Shakhs Ko Kisi Soobe Par Hakim Muqarrar Karte To Us Ke Tamam Maal O Asbab Ki Fehrist Likhwa Kar Apne Paas Mahfuz Kar Lete The. Baad Mein Jin Afsaron Ke Maal Zaid Hote (Aur Woh Unki Koi Sahih Wajah Bayan Na Kar Paate) To Un Mal o Asbab Ko Bait-ul-maal Mein Jama Karwane Ka Hukm Farma Dete. (Futuh Al-buldan, Page 307) Aap Razi Allahu Ta'ala Anhu Khud Farmate The: Log Tab Tak Raah-e-raast Par Rehte Hain Jab Tak Un Ke Raahnuma Aur Sarbraah Raah-e-raast Par Rehte Hain. (Tabaqat Ibn Saad, Jild 3, Safha 222)


Namaz Ki Ahmiyat:
Aap Razi Allahu Ta'ala Anhu Namaz Ke Maamlay Mein Kisi Dosri Cheez Ko Ahmiyat Na Dete The, Aap Razi Allahu Ta'ala Anhu Ne Apne Tamam Soobon Ke Governoron Ke Paas Yeh Firman Bheja Kay Mere Nazdeek Namaz Tumhare Sab Kaamon Mein Aham Hai Jis Ne Namaz Ki Hifaazat Ki Aur Is Par Hameshah Ikhtiyaar Kiya Us Ne Apna Deen Mahfooz Kar Lia Aur Jis Ne Isse Zaaya Kiya Woh Doosre Maamlat Ko Bhi Zaaya Kar Day Ga. (Muatta Imam Malik, Jild 1, Safha 35, Hadees: 6)


Shahadat:
Tareekh-e Aalam Ke Is Azeem Hakimran Ki Puri Zindagi Izzat O Sharafat Aur Azmat Ke Karnamon Ki Aala Misaal Thi, 26 Zul-hijjah Al-haram Ki Subah Ek Majusi Ghulam Abu Lu'lu' Firuz Ne Aap Par Fajr Ki Namaz Ke Doraan Qatilana Hamla Kiya Aur Shadeed Zakhmi Kiya, Aap Razi Allahu Ta'ala Anhu Ne Hazrat Abdul Rahman Bin Auf Razi Allahu Ta'ala Anhu Ko Namaz Padhane Ka Hukm Diya, Jab Log Aap Razi Allahu Ta'ala Anhu Ko Utha Kar Aap Ke Ghar Mein Laye To Musalsal Khoon Behne Ki Wajah Se Aap Par Ghashi Taari Ho Chuki Thi. Hosh Mein Aate Hi Aap Razi Allahu Ta'ala Anhu Ne Apne Bete Ka Haath Pakar Kar Unhein Apne Peeche Bitha Liya Aur Wazu Karke Namaz-e Fajr Ada Ki. Phir Chand Din Shadeed Zakhmi Halat Mein Guzar Kar Apni Jaan Jaan-e Aafreen Ke Supurd Kardi.        Hazrat Suhaib Razi Allahu Ta'ala Anhu Ne Aap Ki Namaz-e Janaza Padhai. Aap Razi Allahu Ta'ala Anhu Ko 1st Muharram Al-haram 24 Hijri Roza-e Rasool Mein Khalifa-e Awal Hazrat Siddiq-e Akbar Razi Allahu Ta'ala Anhu Ke Pahlu Mein Dafn Kiya Gaya. (Tabaqat Ibn Saad, Jild 3, Safha 266, 280, 281 - Tareekh Ibn Asakir, Jild 44, Safha 422, 464) Bawqte Shaadat Aap Razi Allahu Ta'ala Anhu Ki Umr Mubarak 63 Baras Thi. Aap Razi Allahu Ta'ala Anhu Se Riwayat Ki Gayi Ahadith Ki Tadad 537 Hai.

Orignal Post dawateislami.net


Post a Comment

Previous Post Next Post